Sunday, January 28, 2007

do pal ki yaadein

Kal jab dekha tumko toh laga ki tum woh nahi..

Woh dost nahi.. woh pyaar nahi..

Ab shayad woh baat nahi..

Par ek baat jo na seh paaya main..

Woh tha tera bhool jaana mujhko..

Aue ek nayi duniya mein bas jaana..

Mujhe chhod jaana..


Ab woh baatein nahi.. Ab woh raatein nahi..

Mulaquate nahi.. Do pal ki yaadein nahi..

Chala jaaunga main.. Yaad bhi na aaunga main..

Main.. Yaad na aaunga main.. Aur na tum..


Yeh shayad aaj ki baat hai..

Main ajnabi hoon tere liye ye mujhe yaad hai..

Ankahee baatein bhi yaad hain.. Cinema se paidal aana bhi yaad hai..

Saath mein khana bhi yaad hai.. Gaana sunte hue..

Gappe maarna bhi yaad hai..

Par kya tujhe yaad hai woh din..

Woh tasveeron mein khoye hue din...


Ab woh baatein nahi.. Ab woh raatein nahi..

Mulaquate nahi.. Do pal ki yaadein nahi..

Chala jaaunga main.. Yaad bhi na aaunga main..

Main.. Yaad na aaunga main.. Aur na tum..


0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home